OnePlus Ka Itihaas
![]() |
Image Credit-PixaBay |
OnePlus Ko Kisne Banaya
Doston OnePlus ke Co-Founder carl pie 2010 me apni study ke doran hi Nokia company me kaam karne lage the vaha 3 mahine kaam karne ke baad unhone company ko chor diya or uske baad Oppo ko join kar liya us samay me unhone bahut se smartphones dekhe or unke features ko samjha or sath me unhone ye bhi samjha ki agar kisi smartphone ka design acha hota he to vah features me maat khaa jata hai or agar kisi ke features ache dekhne ko milte hai to uski disign or looks jyada khash dekhne ko nahi milti hai agar koi smartphone in dono design or features ko ek sath behtar bhi de dete hai to fir uski price itni high hoti he ki har koi afford nahi kar sakta tha
Oneplus ki suruvat kaise hui
![]() |
Image Credit - PixaBay |
Doston yahi sab chijon ko dekh kar carl pie ne ek esa smartphone banane ko socha jo design or features me dono me hi best ho sath me iski price bhi mid range ho taaki maximum log budget me bhi ek acha or behtar phone istemal kar sake inhi ideas ke sath carl pie ne Oppo company ko chhor diya or apne ek dost pete lau ke sath milkar OnePlus naam ki ek company banai jiska matlab mana gaya competitor se one step aage doston starting me unki company me sirf 5 log hi the or yah sab log ek cafe me beth kar project se related baton par discussion kiya karte the or carl ne dikha ki in sabhi employs ke pass IPhone hi tha or isi vajah se carl pie ne quickly un main reasons ko samjh liya ki akhir log android ko jyadatar kyon use nahi karna chahte hai
OnePlus ke Competitor
Doston carl ne dekha ki android phone ki poor build quality,laggy softwere,or security issues ne users ko pareshan kar rkha tha or unhe yah experiance bhi nahi mil paa rha tha jo unhe IPhone provide kar rha hai yahi vajah hai ki over budget hone ke bawajood bhi Apple ne market me ek alag hi pahchan bana li or isi vajah se Apple mehnga hone ke bawajood bhi log ise kharidna pasand karte hai lekin doston fir un logon ka kya jo IPhone afford nahi kar sakte yahi sab realise karke carl paie ne ek bahut hi unique design or saste me IPhone jaisa hi ek behtarin user experiance android me dilane ka socha
OnePlus Ki Community Or Fanbase
![]() |
Image Credit - PixaBay |
Doston kafi market research ke baad inhone apne saare kaam or moment ko online rakha kyonki online me marketing me bahut kam kharch karke bhi teji se bahut fast ek bada user base teyar kar sakte the or fir apne plan ko execute karke Dec 2013 me founders ne apna kamal ka slogan announce kiya never settle iske baad unhone apni online community bhi banayi jiske jariye log OnePlus news or forams ko access kar sakte the halaki company ne abhi tak apna ek bhi smartphone launch nahi kiya tha lekin fir bhi iski community se bahut sankhya me log judne lage the kyonki kahi na kahi logo ko yah pata chal chuka tha ki company kuch naya product bana rhi he
(OnePlus Ka Itihaas)
Yah Bhi Pade -
OnePlus Ka Pahla Model
![]() |
Image Credit - PixaBay |
Doston OnePlus ne 23 apr 2014 ko apna pahla Naya smartphone launch Kiya jiska naam tha OnePlus 1 doston ab jab ye smartphone launch hone vala tha to company ka anuman tha ki unke kuch 1000 se jyada smartphone nahi bikenge isi ko dhyan me rakhte hue unhone pahle sirf OnePlus 1 ke sirf 1000 unit ko hi banaya tha lekin company ka yah anuman bilkul hi galat sabit hua kyonki yah phone hit saabit ho gaya or 1 saal ke andar hi OnePlus ne is phone ke 10 lakh unit bech kar record bana diya
OnePlus Ki Marketing Strategy
Doston OnePlus ne do kamal ke marketing campaign par kaam kiya tha jisme pahla tha ki aap is phone ko tabhi kharid sakte hai jab apka dost ya koi Jan ne vala ise apko refer karega or dusre campaign ka naam tha smash the past yaniki OnePlus ne kaha ki ap apna purana phone tod kar or uska video banakar social media par upload kariye jiske badle me ham apko branded naya OnePlus 1 smartphone denge vo bhi sirf 1 dollar me ye campaign itna jyada viral ho gaya ki sirf ek hafte me hi 1 lakh 40 hazar logo ne apna smartphone tod kar uska video social media par upload kar diya or is tarah se hi OnePlus ka pahla hi smartphone bahut hi bada hit sabit ho gaya
OnePlus Ki Badi Galti
![]() |
Image Credit-PixaBay |
Doston ab itni badi succes pakar OnePlus over confidence me akar turant hi apne dusre smartphones ko plan karna suru kar diya or behtarin user experience ko provide karna bhool kar ek esi galti kardi ki jis se company ki reputation kharab hone lagi jab company ne OnePlus 2 models ke liye Snapdragon 800 series processor ko select Kiya jisme pahle se hi kaafi heating issues maujud the lekin company ko laga ki vah is problem ko apne softwere optimization ke thru solve kar lenge is tarah se 28 jul 2015 ko OnePlus 2 launch kar diya gaya jisko lagbhag 20 lakh logo ne pre book kiya tha lekin jab unhone is smartphone ko kharida to unhe heating problems dekhne ko mili sath me unresponsive fingerprint dual sim issue or isi tarah ke bahut se problems users ko dekhne ko mile or yahi vajah thi ki OnePlus 2 poori tarah se flop ho gaya
OnePlus Ki Asafalta Ka Karan
Doston is baar OnePlus ke fail hone par OnePlus ne budget base phone banane ki socha taaki vah or bhi bada user base create kar sake iske liye 2015 me hi unhone apne third smartphone OnePlus X ko launch kar diya vo bhi sirf or sirf 17,000 rupees me jisme 8 MP Selfie camera 13 MP Main camera 16 GB Internal memory or 3 GB RAM jaise behtarin features the lekin shayad OnePlus yah bhool gaya ki is segment me pahle se hi kaafi jyada bheed hai or usko yaha bahut jyada compitition ka samna karna pad sakta hai or kuch isi tarah ke problems ko face karke OnePlus OnePlus 2 ke baad ab OnePlus X bhi fail ho chuka tha
OnePlus Ka Vikaas
Doston do bade failure ke baad OnePlus ko yah realise ho gay log inhe kam budget vale phone ke liye nahi chunte hai balki unki dimand mid range price me primium phone ke liye hai or fir apne next phone ko banane se pahle unhone apni comunity se feedback liya or apni kamiyo ko door kiya or fir akhir kaar OnePlus ne 14 june 2016 ko apna chautha smartphone fir se primium segment me launch Kiya jiska naam tha OnePlus 3 isme ek behtarin fast charger, 3000 mAh battery 6GB RAM/64GB internal space or achi quality ka camera jaise or bhi kahi behtarin features diye gaye or doston is smartphone ka price rkha gaya tha 27,999 rupees jiske chalte yah smartphone market me instent hit saabit ho gaya or fir iske baad company ne same esa hi ek or smartphone launch kiya jiska naam tha OnePlus 3T or iski bhi behtarin quality thi jo ki logon ko khub pasand aayi kyonki yah smartphone design or features ke mamle me Google Pixel or IPhone 7 jaise bade smartphone ki barabari kar rha tha or is price me yah dekhe to yah kaafi achi or badi baat thi
OnePlus Ke Do Bade Phone
![]() |
Image Credit-PixaBay |
Doston abtak OnePlus ko yah pata chal gaya tha ki users unse primium phone ki ummid rakhte hai or vo bhi kam price me or kahi na kahi OnePlus ki survat bhi to yahi fill karne ke liye ki gai thi or company ko yah acha purpose bhi mil gaya tha jis par kaam karte hue unhone OnePlus 5 or OnePlus 5T jaise or bhi smartphone launch kiye or ye kaafi time tak bahut jyada hit sabit hue or 40% se jyada market OnePlus ke kabje me agaya or 3 saal me hi yah company Apple or Samsung jaise bade phones ko bhi takkar dene lagi or doston yahan tak OnePlus kaafi achi tarah se perform karne lagi
OnePlus Ki Low Price Strategy
Doston jab baki sabhi companiyo ki corona ke dauran sales kam hone lagi us samay OnePlus ko bhi laga ki logo ne apni kharch kaafi kam kar di hai to kyo na sales badane ke liye ek budget smartphone launch kiya jaye jise jyada se jyada log afford kar sake or isi ke sath OnePlus ne 2020 me OnePlus Nord ko launch kiya tha jis se yah kamai karne me to kamiyab rahe lekin lekin company ki reputation nahi rhi or na hi log ise Apple or Samsung ke competitor ke roop me dekh rhe the isi saal ke andar OnePlus ke Co-Founder carl pie ne bhi company chhor di kyonki unhe ab lagne laga tha ki smartphone market kaafi booring or inovation se door ho chuki he
Nothing Phone Ki Suruvaat Or OnePlus Issues
![]() |
Image Credit - PixaBay |
Doston iske baad carl pie ne ek bilkul nayi company Nothing ki suruvat ki or is me unka yah purpose tha ki vah is smartphone me kuch ese changes karenge jo ki baaki companies ignor kar rhi he carl pie ke company chhorne par OnePlus innovation se or bhi jyada door ho gai or apna loyal user base khone lagi or is tarah OnePlus ko niche jaate dekh iski company bbk electronics ne Oppo se company ko jod diya taaki yah dono companies ek dusre ke innovations ko sath me jod sake or fir OnePlus ne OnePlus Nord 2 ko launch kiya jo ki 4 mahine ke andar hi india me 3 baar blast kar gaya or users ko chot bhi ayi in blast ki tasveere internet par bhi khub viral dekhne ko mili or logon ka ek baar fir se is company se trust khatne laga or ek baat yah bhi thi ki OnePlus ka Oppo ke sath judne se OnePlus uske jaise hi hoti jaa rhi thi dono smartphones ke features kaafi had tak sem ho gaye the yahan tak ki dono ki design bhi sem dekhne ko mil rahi thi or OnePlus ne jab announce kia OnePlus Oxygen ki jagah Oppo ke Color OS par sift karne jaa rha hai tab is feshle ko bhi kaafi jyada trolling ka samna karna pada agar primium price pay karne par bhi uske badle me ek budget segment jaisa product mile to yah logo ko kyo hi pasand ayega or yahi karan tha jise OnePlus samajh nahi paya or 40% market ko gava diya or sidhe 20% par agaya
OnePlus Ka Comeback Kab Hoga
Doston vese is company ne apni reputation ko kaafi had tak gava diya lekin ab bhi hum yah nahi keh sakte ke yaha company barbadi ki kagar par khadi he kyonki yah company apni purani vaali strategi par kaam karti hai jaise comunity se jodna unki problems ko samjhna naye naye innovations karna or apne smartphone ko identify karke usme pakad bana na to yaha company vapas se apni position ke behtarin tarike se market me apni pakad fir se bana sakti hai
Thank you
Apki raai hamare liye behtar hai
Doston mera maksad apko behtar se behtar jankari Dena he jis se apko poori or sahi jankari mile agar fir bhi mujh se is article OnePlus ka itihaas me kuch mistake hui ho to ap mujhe bata sakte he me poori kosis karunga use sahi karne ki
Tags
OnePlus ka Itihaas
OnePlus ka pahle model konsa hai
OnePlus ke best phone
oneplus ki asafalta ka karan
OnePlus ki asafalta ke karan
OnePlus ki history
oneplus ki suruvat kaise hui
OnePlus ko kisne banaya