Ai Kya hota hai or Ai kis tarah kaam karta hai
Doston hame ajakal ai ke bare me bahut sun ne ko milta hai or ajkal ham ise bahut si jagah istemal bhi kar rhe hai bahut sare kaam ab ham badi asani se in ai tools ki madad se kar rhe hai doston mana ye jata hai is poore brhamand me manushya hi ek esa jiv hai jisko dimag ke sath usko sahi tarike se upyog karne ki kushalta bhi di hai manushya apni budhi or kushalta ki badolat aj kaha se kaha pahunch gaya hai apni is budhi ke bal par insano ne kafi tarakki kar li hai jese internet computer smartphones or bhi kahi avishkar kiye hai or is se ham manushyon ki zindagi ko ek nayi disha mili hai
Ai ke fayde
technology ke ksetr me insano ne itna vikash kar liya ki ab usi ki tarah sochne samjhne or apne dimag ka istemal karne vala ek chalta firta machine tayar karne ke bare me soch rha he jo ki bilkul insano ki tarah hi kaam karne ki kabiliyat rakhega us advance technology se ban ne vali machin ko hi Artificial Intelligence kaha jata hai iske bare me logon ko jyada kuch nahi pata lekin ye artificial intelligence logo ke bahut se kaam me kaafi madadgaar sabit hai Ai ki madad se aj kal bahut se kaam kiya jate hai or ye kaafi asan bhi ho jata hai ajkal log khud kaam na kar ke Ai se kaam karana pasand karte hai ya fir kisi kaam ko karne me bhi log Ai ki help le rhe hai jis se unke liye kaam karna or bhi asaan ho jata hai
Ai Kya hota hai
Doston jante hai ki akhir ye artificial intelligence kya hota hai or ye kese kam karta hai doston artificial intelligence ko hindi me kratrim budhimta kaha jata hai yahan kratrim ka matlab hai kisi vyakti ke dvara banaya gaya or budhimta ka matlab hai sochne ki shakti Ai computer vigyan ki ek shakha hai jo ek esi machin ko vikshit karti hai jo insan ki tarah soch sake or kary kr sake jab ek computer ko is tarah tayar karte hai ki vaha manusya ke aklmandi ki tarah kary kar sake to esi machine ko hi Artificial intelligence kaha jata hai jab kisi machine me is tarah ke program set kiye jate hai ki vaha ek manushya ki tarah hi karya kar sake yahi artificial intelligence hai
Ai kis tarah kaam karta hai
Doston jaise ham manushyon ke andar intelligence ki takat hoti hai yah ham manushyon ke andar apne aap badti hai jaise kisi ko tuch karke kisi ko sun kar kisi se bol kar ya fir karya kr kar or ham yah soch sakte hai ki samne kya chij he or hame us chij ke samne kis tarah vyavhar karna hai thik usi tarah se computer ke andar bhi intelligence develop karaya jata hai jis ke jariye computer system ya robotic system tayyar kiya jata hai jo unhi tark ke adhar par chalta hai jis ke adhar par manav mastiskh kaam karta hai yaa fir us tarah se karya karne ki poori kosis karta hai jis se vah chijon ko aram se smjh paye computer science ke kuch vegyaniko nd Ai ki parikalpna duniya ke samne rakhi thi jisme unhone bataya tha ki Ai consept ke dvara ek esa computer control masin ya esa software banae jaa rhe hai jo vesa hi soch sake jesa ki ek insan ka dimag sochta hai computer science me Ai ko machine learning ke naam se bhi jana jata hai machine learning Ai ka ek hissa hai yah system ko anubhav se apne aap hi sikhne or khud ko improve karne ki samta deta hai