How To Make Phone Battery Last Longer In Hindi

How To Make Phone Battery Last Longer In Hindi

How To Make Phone Battery Last Longer

Doston smartphone me sabse important chij hoti hai vo hai us smartphone ki battery life doston smartphone kitna bhi mehnga kyo na ho lekin agar vo baar baar charge lagana padta hai to bahut jyada pareshan hona padta hai or doston jab ham suru me smartphone ko kharidte hai to uski bettry bahut hi badiya run karti hai or hame bilkul bhi pareshani dekhne ko nahi milti lekin jaise jaise time nikalta jata hai smartphone ki bettry life dhire dhire kam hone lag jaati hai or lagatar use karne se din me 2 se 3 baar charge lagana padta hai or smartphone ki jaan yahi hoti hai battery life agar mobile ki battery life thik nahi to ham phone ko use karne me bahut jyada dikkat ati hai or din bhar bus phone ko charge karna hota hai jis se hame phone ko bechne ka man karne lagta hai doston kya ho agar hamare phone ki bettry life achi ho jaye to aaj baat karne vale hai ki ham apne smartphone ki battery life ko kaise badaye or phone ko long time tak use kar paye

Battery life kam kyo hoti hai

Doston jab aap ek smartphone ko kharidte hai to apko badiya battery backup dekhne ko milta hai or battery backup dhire dhire kam hota jata hai hai or jo battery backup apko pahle dekhne ko milta tha vesa battery backup apko baad me nahi dekhne ko milta hai to doston akhir esa kyon hota hai is ki bahut saari vajah ho sakti hai or unhi vajah ke baare me aaj hum is article ke madhyam se jaan ne vale hai or janenge inke kya upay ho sakte hai or agar ap in upay ko follow karoge to apne naya phone liya hai ya phir apke pass jo phone hai use aap 3-5 saal tak badiya use kar paoge battery ke mamle me  kyonki battery health bahut jyada important hoti hai ek smartphone ke liye

Charge cycle kya hai

How To Make Phone Battery Last Longer

Doston yah sabse jyada important hota hai apki battery health par doston agar apne apne smartphone ko 0 se 100% charge kiya usko ek charge cycle mana jata hai bahut saare brands ajkal yah claim karti hai ki ek smart phone me all average 400-500 charge cycles hoti hai yanki apne agar ye cross kar liya to apki battery health 100% me se 20% battery health kam ho jaati hai yaniki 100% battery health 80% battery health reh jaati hai doston average maane agar apko abhi 12 ghante battery backup mil raha hai vo sidhe 10 ghante ho jaygi or ese hi har saal me uski battery health khatam hote jaygi kyonki apne charge cycles ko poora kar diya hai doston is se bachne ke kaafi saare upay ho sakte hai jo aaj ham jaan ne vale hai

Phone ke charge cycle ko sudharna

Doston baat kare is se bachne ke liye to apko apne smartphone ko poori tarah se discharge nahi hone dena matlab apko poora 0% nahi hone dena hai or apne phone ko full charge bhi nahi karna hai apke apne phone ko hamesha 30% se 80% ke baach me rakhna hai or is baat ka khaas khayal rakhna hai or aap apne phone ko use kar rahe hai to agar 30% battery bachi hai to use charge par lagana hai or 80% battery hone par apne phone ko charge se hata lena hai doston vese to is prakriya me bhi ap apne charge cycle ko poora kar rhe hai 30% se 80% battery charge karna charge cycle ke hisaab se lagbhag 50% ho jata hai or fir dusre din 50% poora kar lete hai to 2 din me hamari ek charge cycle poori hoti hai lekin doston is se aap apni battery ko samay de rhe hai jaise ap apki battery health me samay ko bada rhe hai to apki battery life bhi improve ho rahi hai agar ap daily 0% se 100% charge karenge to aap daily apke smartphone ki charge cycle ka use kar rhe hai or apki charge cycle ko khatam kr rhe hai doston ap ye karoge apko battery life me fayda dekhne ko milega (How To Make Phone Battery Last Longer In Hindi)

Smartphone ka garm hona

How To Make Phone Battery Last Longer

Doston kya apko pata hai ki apki battery ka sabse bada dusman kon hai or is chij ka apko pata bhi nahi hoga doston battery ka sabse bada dusman hota hai heat matlab jab aap lagatar gaming ya smartphone ko lambe time tak use karte hai to apka smartphone garam hone lagta hai or yahi high temperature apki battery health ko bahut jyada affect karta hai doston ek baat yaad rhe hamesha ki apka smartphone 40°c se jyada heat na kare mana garmi ke mahine me kahi baar ho jata hai lekin jyadatar kosis jaroor kariye ki phone ka temprature 40°c se jyada na jaye doston mana gaya hai ki jis phone ki battery life agar on average 40°c se jyada rahi hai jyadatar 1 saal me sidhe un smartphone ki health 65% battery health par drop ho jaati hai or bahut log apne phone ko 50°c se bhi jyada garam kar dete hai to unke phone ki battery health 3 ya 4 mahine me kam hone lagti hai is se ye pata chalta hai ki apne agar apke phone ko jyada garam rakha to battery health km ho jaygi is se bachne ke liye lambe time tak game na khele matlab jyada game khelne se acha kuch der phone ko rakh de use rest de or fir baad me khel le lekin lambe time ki gaming se phone ko garam hone se bachaye or dhoop me phone use karne se ya dhoop me game khelne se bhi bache taaki apka phone jyada garam na ho


Thank You 


Top Posts

  • Dji Osmo Action 5 Pro Camera Review in hindi

https://www.vasimtechpro.xyz/2025/04/dji-osmo-action-5-pro.html


  • Ai Kya Hota Hai In Hindi

https://www.vasimtechpro.xyz/2025/03/ai-kya-hota-hai-or-ai-kis-tarah-kaam.html


Post a Comment

Previous Post Next Post