Dji osmo action 5 pro / full specifications review in hindi

Dji osmo action 5 pro

Dji osmo action 5 pro

Doston haal hi me dji ka action 5pro camera launch ho chuka hai doston intresting chij yah hai ki isme internal memory di gai hai jo ki sabse badiya rahne vala hai camera users ke liye doston kahi baar card ham ghar par bhul jate hai yaa fir hame ek alag se card ka use karna padta hai apne camere me par isme ap card use karne ke sath sath internal memory ka bhi use kar payenge iske 47 gb internal memory dekhne ko mil jaati hai agar ap card nahi bhi late to ap fir bhi ap shoot kar payenge doston ap chahe to ap isme external card or internal memory dono ka use kar sakte hai isme badiya baat yah he ki apko option bhi dekhne ko mil jate hai ap switch kar sakte ho agar apka external memory full ho jata hai to ap switch karke internal memory select kar sakte hai

Dji osmo action 5 pro review

Doston camera me kafi badiya badiya features diye gaye hai isme ek subject tracking mod dekhne ko mil jata hai 2.7K me 60fps par apko yah mod dekhne ko milta hai doston yah mod apko camera angle par reframe karke rakhta hai agar ap camera frame se thoda ider uder ya camera se thoda side me chale jaate hai to camera automatic apko frame me rakhta hai or apko video shorts katne ya angle problem nahi hoti hai sath me isme ek feature dekhne ko milta hai jyadatar cameras me aap ek mic ka use kar paate hai lekin dji action 5 pro ke andar ap ek se adhik mice use kar sakte hai or ap apni voice ko aram se record kar sakte hai yah feature khash kar agar ap podcast banate hai ya interview channel hai to apke liye bahut khas option hai 

Dji osmo action 5 pro general information

Dji osmo action 5 pro

Doston agar ap vlogger hai ya ap ek youtuber hai ya fir ap jyadatar bahar alag alag countries ya cities me ghumte rahte hai to ye camera apke liye best hone vala hai kyonki ye camera ek choti size me bahut se features ke sath dekhne ko mil jata hai doston agar apko travling ka saukh hai to ise aap kahi bhi yaha tak ki apni pocket me bhi rakh sakte hai kyonki ye size me chota hai jo ki apko kahi bhi sath le jane me koi problem nahi ayegi or ap ise har jagah apne sath rakh sakte hai doston other camera bahut badi size me aate hai or unko sath me rakhna bahut mushkil ho jata hai or sath me girne ka dar tutne ka dar or to or paani me bhig jaye to kharab hone ka dar bana rahta hai lekin iske sath bilkul esa nahi hai doston yah camera apko water proof dekhne ko milta hai or sath me isme apko double display dekhne ko mil jaati hai ek main display hai or camere ke front side me bhi ek choti si display dekhne ko mil jati hai jaha se bhi ap camere ki settings change kar sakte hai dono display me apko screen touch dekhne ko milta hai 

General Specifications

Dimensions

70.5×44.2×32.8mm(L×W×H)

Weight 

146g

Water Proof

20m without the waterproof case, 60m with the waterproof case

Support microphones

3

Touch screen

Front screen - 1.46 inch 331 ppi 342×342

Rear screen - 2.5 inch 326 ppi 400×712

Sd card support

Micro SD (1TB)

Sensor

1/1.3 inch CMOS

ISO Range

Photo - 100-25600

Video - 100-51200

Max Video Bitrate

120 Mbps

Battery capacity

1950mAh

Thank You


Other Posts

Earphones Konsa behtar hai wireless ya wired

https://www.vasimtechpro.xyz/2025/04/konsa-behtar-hai-wireless-ya-wired-earphones.html


IQOO Z10X Hua Launch Kya Rahne Vali Hai Price

https://www.vasimtechpro.xyz/2025/04/iqoo-z10x-hua-launch-kya-rahne-vali-hai.html


Post a Comment

Previous Post Next Post