Duniya ka sabse pahla phone konsa tha
Duniya ka sabse pahla phone konsa tha

kabhi na kabhi apke dimag me yah baat jarur aayi hogi ki akhir dunya ka sabse pahla phone konsa tha or akhir phone kisne banaya duniya ka pahla phone or phone ka avishkaar kaise hua iske picha ki kahani kya he or akhir usi taknic ne aaj logo ka kaam karne ka tarika sochne ka najariya nayi nayi chije sikhne ka tarika door bethe kisi bhi vyakti se baat kar lena kisi ko bhi dekh lena itna kuch akhir kese sambhav ho paya aaj doston dekha jaye suru ke phones itne advance nahi the lekin unki khoj or unhe us samay banana jab hamare paas itni advance technology nahi hoti thi yahi ek adhubut baat hai doston aaj smartphones itna jyada tarakki kar chuka hai ki yah ham me se jyada tar logon ne nahi socha hoga ki ham itna advance bhi ho jayenge or aaj bahut saare kaam AI kar rha he ham door kisi bethe vyakti ko dekh paa rhe he us se baat kar sakte he videos, entertainment, study, job har kaam ek phone se kas rhe he lekin aaj ham baat karne vaale he ki akhir sabse pahla phone konsa tha or kisne banaya sabse pahla phone.
Duniya ke pahle phone ki suruvaat
Doston aaj roj koi na koi naya smartphone launch hota rahta hai or ajkal lagbhag sabhi ke pass smartphone hota hai hamare liye ye aam baat ho gai hi lekin vahi baat kare kuch samay pahle ki to na to hamare pass itni advance technology thi naa hi koi mobile phones the to us samay is baare me soch pana bhi namumkin tha to doston akhir yah kese mumkin ho paya or kaise duniya ka pahle mobile phone banaya or yah kisne kiya aj isi ke baare me jaan ne vaale hai or apke man me yah bhi sawal jaroor ata hoga ki akhir duniya ka sabse pahla mobile phone kab bana tha.
Top Posts Ye Bhi Pade -
Duniya ka pahla phone or features
Doston duniya ka sabse pahla phone 1973 me jab duniya ne pahli baar wireless mobile phone ka demo dekha doston is mobile phone ko banaya tha Martin Cooper jo ki Motorola Company me engineer the doston unhone 3 april 1973 ko apne pahle mobile phone ka introduction diya doston jiska naam tha Motorola DynaTAC 800x tha iski full form DYNamic adaptive total area coverage thi doston yah ek wireless phone he is phone ki suruvaat 1973 maani jaati hai or is mobile phone ko 1983 me public kiya gaya is phone ka vajan lagbhag 1kg 100g tha is phone ka talking time sirf 30 minutes tha lekin doston agar us samay me dekha jaye to yah bahut badi baat thi is phone ko charge hone me lagbhag 10 ghante ka samay lagta tha phone ki display LED numeric display thi doston is phone ka price 3,995$ jo ki aj ke time par 8-10 laakh rupay ke barabar ho sakta he.
Duniya ke pahle phone se sabse pahli call kisko ki gai thi
Doston baat kare ki akhir duniya ke is pahle phone se sabse pahle kis se baat ki gai thi phone call par doston Martin Cooper ne is phone se sabse pahle AT&T ke engineer Joel Engel jo ki us samay Motorola ke competitor the unhe call lagaya tha doston yah bahut adhbud or aschary se bhari baat thi or vaha kaafi jyada khus the yah call karke doston yah anubhav kesa raha hoga ham or tum soch bhi nahi sakte or aaj ke time par hamare liye yah normal baat ho gai he lekin us samay yah ek khusi ki baat thi.
Comments
Post a Comment